husn hai maghrur dil saudai hai
ishq aur nafrat mein hatha-pai hai
dhaDkanon mein kar diya paida fasad
har ada mein teri ek balwai hai
hum ne KHud dekhi hai dast-e-ghair mein
teri to taswir bhi harjai hai
wajd aankhon mein hai basi nind ka
wasl ki jab se karam-farmai hai
tum ko dekhe bin guzarna chheD tha
dil pe mat lo dagh-e-dil dukh-dai hai
dil-lagi hai ibtida-e-dilbari
chahaton mein chheD-chhaD achchhai hai
kitni sharmili hai 'mannan' us ki yaad
dard ke parde mein chhap kar aai hai
Ghazal
Husn hai maghrur dil saudai hai
Mannan Bijnori