husn fani hai jawani ke fasane tak hai
par ye kam-baKHt mohabbat to zamane tak hai
wo milega to shanasai dilon tak hogi
ajnabiyyat to faqat samne aane tak hai
dasht mein panw dhara tha kabhi wahshat ke baghair
ab wahi ret mere aaina-KHane tak hai
shaeri piron faqiron ka wazifa tha kabhi
ab to ye kaam faqat nam kamane tak hai
chand gardun ko mayassar hai sahar hone tak
raqs-e-darwesh tere baam pe aane tak hai
main mohammad ke ghulamon ka ghulam ibn-e-ghulam
aise nisbat usi pakiza gharane tak hai
Ghazal
Husn fani hai jawani ke fasane tak hai
Mumtaz Gurmani