husn-e-tadbir ka moajiza dekhiye
kaam himmat se le kar zara dekhiye
aap aur hum se izhaar-e-lutf-o-karam
aaina dekhiye aaina dekhiye
aashiyane ki buniyaad rakkhega phir
pahle bagh-e-jahan ki hawa dekhiye
aag se khelne ko patanga baDha
haisiyat dekhiye hausla dekhiye
jab kaha hai to jalwa dikhaenge wo
sans jab tak chale rasta dekhiye
kuchh idhar bhi hain ummid-war-e-karam
mehrban is taraf bhi zara dekhiye
jurm-e-zikr-e-wafa par wo kahne laga
ja ke anjam-e-ahl-e-wafa dekhiye
Ghazal
Husn-e-tadbir ka moajiza dekhiye
Jurm Mohammadabadi