اردو हिंदी
Husn-e-nazzara sahi jalwa-dar-aghosh sahi | Shaahi Shayari
husn-e-nazzara sahi jalwa-dar-aghosh sahi

Ghazal

Husn-e-nazzara sahi jalwa-dar-aghosh sahi

Mukhtar Hashmi

;

husn-e-nazzara sahi jalwa-dar-aghosh sahi
ishq phir ishq hai be-KHud sahi madhosh sahi

kuchh nuqush aise bhi hain jo nahin miTte dil se
zindagi ishq ki ek KHwab-e-faramosh sahi

kuchh na kuchh sochna paDta hai sukun ki KHatir
un ki mahfil na sahi maut ki aaghosh sahi

aaina ishq-o-mohabbat ka ba-har-haal hai dil
shor-e-naghma na sahi nala-e-KHamosh sahi

irtibaat-e-nazar-o-dil na miTa hai na miTe
main to ru-posh nahin un se wo ru-posh sahi