husn-e-mutlaq hai kya kise malum
ibtida intiha kise malum
meri betabiyon ki kha ke qasam
barq ne kya kiya kise malum
din-dahaDe shabab ke hathon
hae main luT gaya kise malum
meri kuchh garm o sard aahon se
aasman kya hua kise malum
husn ka har KHayal raushan hai
ishq ka muddaa kise malum
'sehr' ke ham-nawa farishte hain
hai maqam us ka kya kise malum
Ghazal
Husn-e-mutlaq hai kya kise malum
Sehr Ishqabadi