husn-e-masum agar raaz-e-nihan tak pahunche
gham ka mear KHuda jaane kahan tak pahunche
ishq mein yun to sabhi sud-o-ziyan tak pahunche
kam hain aise jo mere azm-e-jawan tak pahunche
hum pahunchne ko to har wahm-o-guman tak pahunche
tum wahan ho ki nazar bhi na jahan tak pahunche
wo musibat jise duniya gham-e-dil kahti hai
main na rokun to KHuda jaane kahan tak pahunche
tum kahin ja ke chhupo dawat-e-nazzara to do
phir ye maqdur-e-nazar hai ki jahan tak pahunche
hukm hai chahe gulistan ka gulistan jal jae
hath lekin na koi barq-e-tapan tak pahunche
tum rah-e-ishq mein lillah mera sath na do
silsila gham ka KHuda jaane kahan tak pahunche
uf wo nazren jo mohabbat ka bharam rakh na saken
hae wo kaif jo ehsas-e-garan tak pahunche
raaz-e-ulfat main chhupata to hun lekin 'arshad'
Dar hai ehsas ki talKHi na zaban tak pahunche
Ghazal
Husn-e-masum agar raaz-e-nihan tak pahunche
Arshad Siddiqui