husn-e-farogh-e-shab hai zaKHm-e-jigar hamara
har-chand muntazir hai baam-e-sahar hamara
ahbab ko mubarak ye shauq tirgi ka
hai zauq raushni ka zad-e-safar hamara
kyun bais-e-alam hon ye KHun-chakan jabinen
tha ibtida se dushman wo sang-e-dar hamara
karte jo hum kinara us danish-o-hunar se
ishrat-garon mein hota shayad guzar hamara
parwarda-e-hawas jo husn-e-yaqin bhi hota
ye karbala-e-dauran hota na ghar hamara
kya kya hai naz hum ko is baKHt-e-na-rasa par
sidq-o-safa se rishta hai mo'atabar hamara
dekhen 'sarosh' wo bhi is manzar-e-hasin ko
jalwon ki aabru hai zaKHm-e-jigar hamara
Ghazal
Husn-e-farogh-e-shab hai zaKHm-e-jigar hamara
Mateen Sarosh