husn-e-fani par hum apna dil fida karte rahe
ab pasheman hain ki sari umr kya karte hain
hum samajhte hain janab-e-shaiKH kya karte rahe
hur-o-ghilman ke liye yaad-e-KHuda karte rahe
zabt-e-girya zabt-e-nala zabt-e-faryaad-o-fughan
ishq mein jo kuchh bhi hum se ho saka karte rahe
kis tarah soe paDe hain chain se zer-e-mazar
jo zamin par har ghaDi mahshar bapa karte rahe
sach agar puchho to hum kafir bhi hain momin bhi hain
but-kada mein baiTh kar yaad-e-KHuda karte rahe
maut hi aaKHir ilaj-e-kargar sabit hui
dard-e-dil baDhta raha jun jun dawa karte rahe
ahl-e-himmat ne to ai 'simab' manzil mar li
hum magar hirman-nasibi ka gila karte rahe
Ghazal
Husn-e-fani par hum apna dil fida karte rahe
Seemab Batalvi