husn-e-be-parda ki garmi se kaleja pakka
tegh ki aanch se ghar mein mere khana pakka
jins-e-dil le ke na jaun main kisi aur ke pas
aap baiana agar dijiye pakka pakka
har tarah hath uThana hai jahan se mushkil
baiTh rahne ko bhi ghar chahiye kachcha pakka
hai wo shair jo paDhe bazm-e-suKHan mein ashaar
mo'atabar hai jo kachehri mein ho chehra pakka
KHam-e-tabai se tumhaare hai bahut tang 'asir'
kijiye wasl ka iqrar to pakka pakka
Ghazal
Husn-e-be-parda ki garmi se kaleja pakka
Aseer Lakhnawi