husn-e-bazar to hai garmi-e-bazar nahin
bechne wale hain sab koi KHaridar nahin
aao batlaen ki wadon ki haqiqat kya hai
peD unche hain sabhi koi samar-dar nahin
dil ki uftad mizaji se pareshan hun main
thi talab jis ki ab us ka hi talabgar nahin
ab jise dekho wahi ghum raha hai bandhe
dastiyab ab kisi dukan pe dastar nahin
ai zuleKHa tu ne jo dam lagaya ab ke
us pe yusuf to koi bikne ko tayyar nahin
aasman chhat hai zamin farsh kushada hai makan
mera ghar wo hai ki jis ke dar-o-diwar nahin
hai suKHan-fahmi ka har shaKHs ko dawa lekin
kaun aisa hai jo 'ghaalib' ka taraf-dar nahin
ai 'kamal' aise mein kya lutf-e-safar paoge
rah mein dhup nahin sang nahin KHar nahin
Ghazal
Husn-e-bazar to hai garmi-e-bazar nahin
Ahmad Kamal Hashmi