اردو हिंदी
Husn-e-azal ne pahle hamein jalwa-gar kiya | Shaahi Shayari
husn-e-azal ne pahle hamein jalwa-gar kiya

Ghazal

Husn-e-azal ne pahle hamein jalwa-gar kiya

Rifat-ul-Qasmi

;

husn-e-azal ne pahle hamein jalwa-gar kiya
duniya-e-hast-o-bud se phir be-KHabar kiya

us be-niyaz-e-ishq ne aashufta-sar kiya
dair-o-haram sajae pareshan-nazar kiya

aasudgan-e-KHak ko phir dar-ba-dar kiya
zauq-e-numud-e-subh mein barg-o-shajar kiya

ta-umr apni zat ke andar basar kiya
is kaenat-e-shauq ko hum ne bhi sar kiya

dam-bhar ruke the saya-e-mizhgan-e-yar mein
us KHanuman-KHarab ne bhi dil mein ghar kiya

hum ko shuur-e-sabr-o-raja se nawaz kar
gham-ashna-e-lazzat-e-dard-e-jigar kiya

ahl-e-junun ne dasht-nawardi ki rah mein
aawargan-e-ishq ko bhi ham-safar kiya

tujh ko hi hum se wasl ki mohlat nahin mili
hum ne to intizar tera umr-bhar kiya

partaw hai teri zat ka har lamha-e-wajud
hum ne ye faisla teri aayab par kiya

lo bargah-e-dard mein rakh kar mata-e-dil
'rifat' ne is jahan se aage safar kiya