اردو हिंदी
Husn-e-alam-soz na-mahdud hona chahiye | Shaahi Shayari
husn-e-alam-soz na-mahdud hona chahiye

Ghazal

Husn-e-alam-soz na-mahdud hona chahiye

Aziz Lakhnavi

;

husn-e-alam-soz na-mahdud hona chahiye
har tajalli aaftab-alud hona chahiye

husn-e-niyyat hai dalil-e-husn anjam-e-amal
sai mein bhi jalwa-e-maqsud hona chahiye

ek hi jalwa hai jab hangama-ara-e-shuhud
phir wahi shahid wahi mashhud hona chahiye

husn-e-alam-soz ka faiz-e-tajalli aam hai
ek ek zarra yahan masjud hona chahiye

shana-o-aina kya ai zulf-e-mushkin-e-ayaz
teri zinat ko dil-e-mahmud hona chahiye

be-niyazi ab KHata-karon ki himmat baDh gai
bab-e-tauba kuchh dinon masdud hona chahiye

kawish-e-mizhgan ka paiham taqaza hai 'aziz'
har-nafas ko tere KHun-alud hona chahiye