husn bhi hai panah mein ishq bhi hai panah mein
ek teri nigah mein ek meri nigah mein
khel nahin hansi nahin haal mera sun na sun
dard hai do jahan ka ishq ki ek aah mein
KHugar-e-zulm-o-jaur ko shikwa-e-iltifat hai
qalb se uTh ke chha gai gham ki ghaTa nigah mein
ta-ba-hadd-e-did hai ek siraat-e-mustaqim
hajat-e-rahbar nahin ishq ki shahrah mein
dast-e-karam baDha diya us ne bila lihaz-e-jurm
qabil-e-raham kuchh na tha warna mere gunah mein
kuchh meri be-qarariyan kuchh meri na-tawaniyan
kuchh teri rahmaton ka hai hath mere gunah mein
lala-o-gul ki mahfilen apni jagah pe kuchh na thi
jam-e-bahaar ban gae khinch ke meri nigah mein
Ghazal
Husn bhi hai panah mein ishq bhi hai panah mein
Hairat Gondvi