اردو हिंदी
Husn aur ishq ko farq-e-nazari kyun kahiye | Shaahi Shayari
husn aur ishq ko farq-e-nazari kyun kahiye

Ghazal

Husn aur ishq ko farq-e-nazari kyun kahiye

Mohammad Naqi Rizvi Asr

;

husn aur ishq ko farq-e-nazari kyun kahiye
mai ki tasir ko ek be-KHabari kyun kahiye

har-nafas zist ka ho jae agar waqf-e-talash
justuju kahiye use dar-badari kyun kahiye

koh-o-sahra hi nahin arsh ki lata hun KHabar
meri parwaz ko be-baal-o-pari kyun kahiye

kashtiyan Dub ke ubhren jo kisi tufan mein
na-KHudaon ki use dida-wari kyun kahiye

bujhte bujhte bhi andheron ki rahe jo dushman
aisi hasti ko charagh-e-sahari kyun kahiye

jab sulajhti na ho koshish se bhi uljhi hui baat
phir to haalat ko aafat se bari kyun kahiye

ek koshish thi jo nakaam rahi qismat se
'asr' kuchh kahiye use be-hunari kyun kahiye