husn ai jaan nahin rahne ka
phir ye ehsan nahin rahne ka
nazr ki jeb to ai josh-e-junun
ab ye daman nahin rahne ka
parda mat munh se uThana yakbar
mujh mein ausan nahin rahne ka
tu chala aur ye ji is tan mein
kisi unwan nahin rahne ka
gul ko kya roti hai tu ai bulbul
ye gulistan nahin rahne ka
dam ka mehman hun main ab bhi tu
aa ke mehman nahin rahne ka
nabDi mai aur gulistan mein gul
tere qurban nahin rahne ka
ab bhi aana hai to aa warna myan
ye bhi saman nahin rahne ka
dil ki darKHwast jo ki tu ne to yan
ab ye ek aan nahin rahne ka
aise mein apni amanat le ja
phir tujhe dhyan nahin rahne ka
hijr ke gham se na ghabra 'jurat'
itna hairan nahin rahne ka
Ghazal
Husn ai jaan nahin rahne ka
Jurat Qalandar Bakhsh