husain hi tha jo pyasa uTha furaat se wo
lahuluhan samundar tha apni zat se wo
fasil-e-shab ki kamin-gahen us pe sab raushan
na jaane guzrega kab ja-e-wardat se wo
kiya na tark-e-marasim pe ehtijaj us ne
ki jaise guzre kisi manzil-e-najat se wo
parinde lauT rahe hain khule baseron mein
gaya hai ghar se bhi laD kar guzishta raat se wo
na jaane kya hain ye dimak-zada si tahriren
Dara Dara sa hai bosida kaghzat se wo
Ghazal
Husain hi tha jo pyasa uTha furaat se wo
Musavvir Sabzwari