huruf KHali sadaf aur nisab zaKHmon ke
waraq waraq pe hain tahrir KHwab zaKHmon ke
sawal phul se nazuk jawab zaKHmon ke
bahut ajib hain ye inqalab zaKHmon ke
gharib-e-shahr ko kuchh aur gham-zada karne
amir-e-shahr ne bheje KHitab zaKHmon ke
suron pe tan ke rakhna sawab ki chadar
utarne wale hain ab ke azab zaKHmon ke
wo ek shaKHs ki jo fath ka samundar tha
usi ke hisse mein aae sarab zaKHmon ke
khilenge naKHl-e-tamanna ki Tahni Tahni par
lahu ki surKHiyan le kar gulab zaKHmon ke
saja ke rakkhunga mehrab-e-dil mein ai 'nayyar'
bahut aziz hain mujh ko gulab zaKHmon ke
Ghazal
Huruf Khaali sadaf aur nisab zaKHmon ke
Azhar Naiyyar