hunar ki kar-gah se shai ajab nikal aae
main din banata rahun aur wo shab nikal aae
dalil apni jagah par ye ain-mumkin hai
ki be-sabab ka bhi koi sabab nikal aae
koi sitara tha hairat bhara nazara tha
gharon mein soe hue log sab nikal aae
nikalna hai isi shab mah-e-wasl ne lekin
yaqin se kah nahin sakta ki kab nikal aae
main dekhne mein bahut mahw tha teri taswir
ki chumne ko mujhe tere lab nikal aae
ai be-niyaz jahan kuchh to ghaur kar shayad
kahin dabi hui koi talab nikal aae
buri tarah se hain din dhund ki hirasat mein
kisi taraf se zara dhup ab nikal aae
maza to jab hai udasi ki sham ho 'shahin'
aur us ke bich se sham-e-tarab nikal aae
Ghazal
Hunar ki kar-gah se shai ajab nikal aae
Javed Shaheen