hunar-e-zaKHm-numai bhi nahin
sila-e-abla-pai bhi nahin
dard-e-sar ab tere hone ka sabab
ab to wo dast-e-hinai bhi nahin
main ne har rang sameTa us ka
aur taswir banai bhi nahin
bandagi bhi na mujhe ras aai
aur pindar-e-KHudai bhi nahin
jal gaya jis mein mera sara wajud
tu ne wo aag lagai bhi nahin
ai KHuda baKHt-sinkandar mat de
aur kashkol-gadai bhi nahin
Ghazal
Hunar-e-zaKHm-numai bhi nahin
Raghib Akhtar