hukumat hai na shaukat hai na izzat hai na daulat hai
hamare pas ab le-de ke baqi bas saqafat hai
gine jate hain jo dahliz ke bujhte charaghon mein
unhen aiwan ki mehrab mein jalne ki aadat hai
chalo KHairaat na milti koi khiDki hi khul jati
faqiron ko mohalle se bas itni si shikayat hai
bharam donon ka qaem hai ada-e-be-niyazi se
zamana puchhta kab hai hamari kya zarurat hai
kisi manzil pe hum ko mustaqil rahne nahin deta
na jaane waqt ko hum be-gharon se kya shikayat hai
zaban-bandi to pahle thi ba-hukm-e-sahib-e-alam
nigahon ko bhi ab KHamosh rahne ki hidayat hai
Ghazal
Hukumat hai na shaukat hai na izzat hai na daulat hai
Khwaja Rabbani