hukm-e-murshid pe hi ji uThna hai mar jaana hai
ishq jis samt bhi le jae udhar jaana hai
meri binai tere qurb ki marhun hai dost
hath chhoDwa ke bhala tujh se kidhar jaana hai
us ki chhanw mein bhi thak kar nahin baiTha jata
tu ne jis peD ko phaldar shajar jaana hai
hue KHadshat ki pahchan nahin paya tujhe
main samajhta tha ki tu ne bhi bichhaD jaana hai
laDkhaData hun to wo ro ke lipaT jata hai
main ne girna hai to us shaKHs ne mar jaana hai
KHushk mashkiza liye KHali palaTna hai use
aur dariyaon ka shiraaza bikhar jaana hai

Ghazal
Hukm-e-murshid pe hi ji uThna hai mar jaana hai
Rakib Mukhtar