hujum-e-yas mein man ki dua milti rahi hai
ye daulat zindagi mein barha milti rahi hai
kisi ka kuchh bigaDa hi nahin hum ne zamane mein
hamein to KHwab likhne ki saza milti rahi hai
tere dar tak pahunchne ki kabhi naubat nahin aai
ki raste mein hamein apni ana milti rahi hai
bacha ke lakh rakkha tu ne apne daman-e-dil ko
magar zaKHmon ko phir bhi kuchh hawa milti rahi hai
agar hum ghaur se dekhen to ab mahsus hota hai
ki wo hum se yunhi be-muddaa milti rahi hai
kahin bhi hath phailae nahin tere siwa hum ne
hamein har moD par teri ata milti rahi hai
Ghazal
Hujum-e-yas mein man ki dua milti rahi hai
Safdar Saleem Sial