hujum-e-yas mein jina bhi ek azab hua
yahi hua ki mohabbat mein dil KHarab hua
chhupa hua hai jo chehra haya ke daman mein
na koi aaina us husn ka jawab hua
baham ulajhte rahe shaiKH-o-barahman ab tak
jo hum uThe to zamane mein inqalab hua
tumhaare hukm pe hasti miTa chuke hum to
magar hamari wafaon ka kya jawab hua
meri nawa se larazne laga nizam-e-kohan
mera payam 'ziya' wajh-e-inqalab hua
Ghazal
Hujum-e-yas mein jina bhi ek azab hua
Bakhtiyar Ziya

