hujum-e-sayyargan mein raushan diya usi ka
fasil-e-shab par bhi gul khilae hua usi ka
usi ki shah par taraf taraf raqs-e-mauj-e-girya
tamam girdab-e-KHun pe pahra bhi tha usi ka
usi ka lams-e-gudaz raushan kare shab-e-gham
hawa-e-mast-e-visal ka silsila usi ka
usi ke gham mein dhuan dhuan chashm-e-rang-o-naghma
so aks-zar-e-KHayal bhi mojaza usi ka
usi ke honTon ke phul bab-e-qubul chumen
so hum uTha laen ab ke harf-e-dua usi ka
usi se 'ajmal' tamam fasl-e-ghubar-e-sahra
udas aankhon mein phir bhi raushan diya usi ka
Ghazal
Hujum-e-sayyargan mein raushan diya usi ka
Kabir Ajmal