hujum-e-dard mila imtihan aisa tha
magar wo chup hi raha be-zaban aisa tha
kisi ki izzat-o-namus par na aanch aai
luTa to uf bhi na ki mehrban aisa tha
zamana guzra magar dagh rah gaya dil par
na miT saka kisi surat nishan aisa tha
badan ki shaKH se us ke kiran jo lipTi thi
wo sah saka na use dhan-pan aisa tha
mata-e-zist luTa di gai magar us ne
zara bhi qadr na ki bad-guman aisa tha
nazar-shanas tha kaisa ki umr bhar 'anjum'
bhula saka na use mehman aisa tha
Ghazal
Hujum-e-dard mila imtihan aisa tha
Ghayas Anjum