hujum-e-dard mein KHandan hai kaun mere siwa
harif-e-gardish-e-dauran hai kaun mere siwa
dawa-e-dil ke liye apne pas aaya hun
ki mere dard ka darman hai kaun mere siwa
ye ham-safar to chaman tak ke ham-safar Thahre
mera rafiq-e-bayaban hai kaun mere siwa
sitara-e-shab-e-gham kis pe muskuraenge
fareb-KHurda-e-paiman hai kaun mere siwa
wo aadmi hi to insaniyat ka dushman hai
jo kah raha hai ki insan hai kaun mere siwa
pukarti hain mujhi ko tamam zanjiren
zaban-e-halqa-e-zindan hai kaun mere siwa
mera pata to kisi gul se puchh lo ki 'shamim'
chaman mein chaak-gareban hai kaun mere siwa

Ghazal
Hujum-e-dard mein KHandan hai kaun mere siwa
Shamim Karhani