hujum-e-aish-o-tarab mein bhi hai bashar tanha
nafas nafas hai muhajir nazar nazar tanha
ye mera aks hai aaine mein ki dushman hai
udas tishna-e-sitam dida-e-be-KHabr tanha
ye qatl-gah bhi hai baal-pan ka aangan bhi
bhaTak rahi hai jahan chashm-e-mo'atabar tanha
bura na man mere ham-safar KHuda ke liye
chalunga main bhi isi rah par magar tanha
na jaane bhigi hain palken ye kyun dam-e-ruKHsat
ki ghar mein bhi to raha hun main umr-bhar tanha
na bazm-e-KHalwatiyan hai na hashr-e-gah-e-awam
andheri raat karun kis tarah basar tanha
kisi ghazal ka koi sher gungunate chalen
tawil rahen wafa ki hain aur safar tanha
nisar kar dun ye palkon pe kanpti yaaden
tera KHayal jo aae dam-e-sahar tanha
jidhar bhi jao koi rah rok leta hai
wafa ne chhoDi nahin ek bhi Dagar tanha
barat lo yaro baratne ki chiz hai ye hayat
ho lakh tarsi hui talKH-e-muKHtasar tanha
umid kitni hi mayusiyon ki mashal hai
ho rahguzar mein jaise koi shajar tanha
jidhar se guzre the masum hasraton ke julus
suna ki aaj hai 'zaidi' wahi Dagar tanha
Ghazal
Hujum-e-aish-o-tarab mein bhi hai bashar tanha
Ali Jawwad Zaidi