hui to ja dil mein us sanam ki namaz mein sar jhuka jhuka kar
haram se but-KHane tak to pahuncha KHuda KHuda kar KHuda KHuda kar
lahad mein kya zikr raushni ka sar-e-lahad bhi jo rahm kha kar
jala kiya jab charagh koi hawa ne ThanDa kiya bujha kar
nishan-e-barbaad-gan-e-alam jo puchhe sahra mein hum ne ja kar
saba se uD uD ke gard baiThi bagule uTThe hawa mein aa kar
jo chashm-e-anjam-e-bin se dekha bahaar do din hai phir KHizan hai
maal-e-gulshan pe roi shabnam hanse gul-e-tar jo khil-khila kar
buton ki pur-ab ankhDiyon mein khula ye dekha jo putliyon ko
ye wo hain hindu dharam jaman se phire jo ganga chale naha kar
KHayal-e-hajj-e-haram ko chhoDa suna jo shah-e-rag se hai qarin-tar
tawaf-e-dil hi kiya kiye hum gae na kabe ko pher kha kar
zamin mein ai 'shad' mar gae par falak dabae to kya gila hai
miyan-e-turbat hamare pahlu hamein dabaate hain murda pa kar
Ghazal
Hui to ja dil mein us sanam ki namaz mein sar jhuka jhuka kar
Shad Lakhnavi