اردو हिंदी
Hui tasir aah-o-zari ki | Shaahi Shayari
hui tasir aah-o-zari ki

Ghazal

Hui tasir aah-o-zari ki

Momin Khan Momin

;

hui tasir aah-o-zari ki
rah gai baat be-qarari ki

shikwa-e-dushmani karen kis se
wan shikayat hai dost-dari ki

mubtala-e-shab-e-firaq hue
zid se hum tira-rozgari ki

yaad aai jo garm-joshi-e-yar
dida-e-tar ne shola-bari ki

kyun na Dar jaun dekh kar wo zulf
hai shab-e-hijr ki si tariki

yas dekho ki ghair se kah di
baat apni umid-wari ki

bas ki hai yar ki kamar ka KHayal
sher ki sujhti hai bariki

kar de roz-e-jaza shab-e-dijur
zulmat apni siyahkari ki

tere abru ki yaad mein hum ne
naKHun-e-gham se dil-figari ki

qatl-e-dushman ka hai irada use
ye saza apni jaan-nisari ki

kya musalman hue ki ai 'momin'
hasil us but se sharmsari ki