اردو हिंदी
Hui shakl apni ye ham-nashin jo sanam ko humse hijab hai | Shaahi Shayari
hui shakl apni ye ham-nashin jo sanam ko humse hijab hai

Ghazal

Hui shakl apni ye ham-nashin jo sanam ko humse hijab hai

Nazeer Akbarabadi

;

hui shakl apni ye ham-nashin jo sanam ko hum se hijab hai
kabhi ashk hai kabhi aah hai kabhi ranj hai kabhi tab hai

zara dar pe us ke pahunch ke hum jo bulawen us ko to dosto
kabhi ghussa hai kabhi chheD hai kabhi hila hai kabhi KHwab hai

jo us anjuman mein hain baiThte to mizaj us ke se hum ko wan
kabhi ijz hai kabhi bim hai kabhi roab hai kabhi dab hai

wah udhar se ja ke jo aata hai use donon haal se dil mein yan
kabhi soch hai kabhi fikr hai kabhi ghaur hai kabhi tab hai

jo wo baad bosa ke naz se zara jhiDke hai to 'nazir' ko
kabhi misri hai kabhi qand hai kabhi shahd hai kabhi rab hai