اردو हिंदी
Hui na KHatm teri rahguzar kya karte | Shaahi Shayari
hui na KHatm teri rahguzar kya karte

Ghazal

Hui na KHatm teri rahguzar kya karte

Azhar Iqbal

;

hui na KHatm teri rahguzar kya karte
tere hisar se KHud ko farar kya karte

safina gharq hi karna paDa hamein aaKHir
tere baghair samundar ko par kya karte

bas ek sukut hi jis ka jawab hona tha
wahi sawal miyan bar bar kya karte

phir is ke baad manaya na jashn KHushbu ka
lahu mein Dubi thi fasl-e-bahaar kya karte

nazar ki zad mein nae phul aa gae 'azhar'
gai ruton ka bhala intizar kya karte