hui muddaten ai dil-e-hazin na payam hai na salam hai
ki usi ko kahte hain dosti ki usi ka dosti nam hai
kabhi jae baad-e-saba udhar to ye kahna us ki bhi hai KHabar
ba-juz ek gham ke siwa tere jise khana pina haram hai
tu sukun-o-sabr miTae ja gham-e-ishq mujh ko rulae ja
ho taDap taDap ke sahar mujhe yahi dard-e-dil tera kaam hai
main dikhaun kis ko ye haal-e-dil main sunaun kis ko ye haal-e-dil
kahin mujh se KHana-ba-dosh ko na qarar hai na qayam hai
mujhe dard tu ne ata kiya mere mehrban tera shukriya
bana dard-e-dil tera zindagi tere dard-e-dil se hi kaam hai
na qarar aae kisi tarah mere dard-e-dil tu taraqqi kar
shab-e-gham taDapte hi ho sahar shab-e-gham taDapne se kaam hai
ye kaisi us ki hai dosti ye bata to mujh ko dil-e-hazin
nahin jis ko dur ka wasta use dur hi se salam hai
wo nazar bacha ke chala gaya main ye 'raaz' kahta hi rah gaya
zara jaane wale ye baat sun ye bata to kya tera nam hai
Ghazal
Hui muddaten ai dil-e-hazin na payam hai na salam hai
Basheeruddin Raaz