اردو हिंदी
Hui jo raat pahlu mein KHushi se mar gae hum to | Shaahi Shayari
hui jo raat pahlu mein KHushi se mar gae hum to

Ghazal

Hui jo raat pahlu mein KHushi se mar gae hum to

Dinakshi Sahar

;

hui jo raat pahlu mein KHushi se mar gae hum to
agar tere hi aangan mein sahar hoti to kya hota

guzar to yun bhi jaegi kaDakti dhup mein tanha
tere daman ke sae mein basar hoti to kya hota

hazaron raste wa the magar tujh tak jo pahunchati
kahin wo ek chhoTi si Dagar hoti to kya hota

teri is sard-mehri mein kasak si bhi numayan hai
KHudaya ye nawazish bhi na gar hoti to kya hota

teri sab dastanon mein mere qisse likhe hote
dua wo ek meri ba-asar hoti to kya hota

bahut hi pur-sukun nikle tere aaghosh se phir hum
ki ye aasudgi aaThon pahar hoti to kya hota