hui hai hum mein aur is gul mein kya kya mar phulon ki
gale tak uTh gai gulzar mein diwar phulon ki
bahaar aai hai gulshan ne qaba-e-sabz badli hai
jawanan-e-chaman ke sar pe hai dastar phulon ki
chaman mein aaj-kal us zor se pani barasta hai
hui hai bulbulon par har taraf bauchhaar phulon ki
bike hain kauDiyon ke mol dawa kar ke us gul se
gai hai aabru kya kya sar-e-bazar phulon ki
rasai 'qadr' ki kyun kar na ho is bazm-e-rangin mein
chaman mein rakhte hain sohbat hamesha KHar phulon ki
Ghazal
Hui hai hum mein aur is gul mein kya kya mar phulon ki
Qadr Bilgarami