اردو हिंदी
Hui dil TuTne par is tarah dil se fughan paida | Shaahi Shayari
hui dil TuTne par is tarah dil se fughan paida

Ghazal

Hui dil TuTne par is tarah dil se fughan paida

Fazil Ansari

;

hui dil TuTne par is tarah dil se fughan paida
ki jaise shama ke bujhne se hota hai dhuan paida

raha sabit-qadam yun hi agar azm-e-safar apna
karegi KHud rah-e-dushwar hi aasaniyan paida

har ek tamir KHud apni tabahi sath lati hai
na girti barq gar hoti na shaKH-e-ashiyan paida

meri KHwahish ki ek sajda miTa de nam-e-peshani
teri KHwahish ho peshani pe sajdon ka nishan paida

wo jin ki maut par rote hain barson jam-o-paimana
ab aise baada-kash hote hain ai saqi kahan paida

zarurat kya karen hum justaju-e-astan ai dil
salamat zauq-e-sajda aap hoga aastan paida

nazar mein jin ki rangini tabiat mein hai ranai
wo kar lete hain 'fazil' dasht mein bhi gulistan paida