hui dastak koi aaya nahin koi nahin hai
hamein ab puchhne wala kahin koi nahin hai
bahut aabaad hain ye be-dar-o-diwar se ghar
mahal aise bhi hain jin mein kamin koi nahin hai
jhijakte hain ishaaron se bhi dil ki baat karte
ki shisha-ghar mein raazon ka amin koi nahin hai
ab ek andhe kunen mein girte jaana zindagi hai
ab apne panw ke niche zamin koi nahin hai
zara sun to ki ab mazlum na-ummid ho kar
ye kahte hain sar-e-arsh-e-barin koi nahin hai
Ghazal
Hui dastak koi aaya nahin koi nahin hai
Ehsan Ali Khan