اردو हिंदी
Hui aaghaz phulon ki kahani | Shaahi Shayari
hui aaghaz phulon ki kahani

Ghazal

Hui aaghaz phulon ki kahani

Zulfiqar Aadil

;

hui aaghaz phulon ki kahani
wo pahla dil wo pahli KHush-gumani

udasi ki mahak aati hai mujh se
meri tanhai hai itni purani

hamein donon kinare dekhne mein
tawajjoh chahti hai ye rawani

ye barish aur ye pamal sabza
numu pati hui ek raegani

mohabbat ho gai ek roz 'adil'
hamara mashghala tha baghbani