hue mujh se jis ghaDi tum juda tumhein yaad ho ki na yaad ho
meri har nazar thi ek iltija tumhein yaad ho ki na yaad ho
wo tumhaara kahna ki jaenge agar aa sake to phir aaenge
use ek zamana guzar gaya tumhein yaad ho ki na yaad ho
meri be-qarariyan dekh kar mujhe tum ne di thin tasalliyan
mera chehra phir bhi udas tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
meri bebasi ne zaban tak jise la ke tum ko rula diya
mere TuTe saz ki wo sada tumhein yaad ho ki na yaad ho
tumhein chand qatra-e-ashk bhi kiye pesh jis ke jawab mein
wo salam nichi nigah ka tumhein yaad ho ki na yaad ho
mere shane par yahi zulf thi jo hai aaj mujh se khinchi khinchi
mere hath mein yahi hath tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
kabhi hath mein jo sharab li wahin tum ne chhin ke phenk di
mujhe yaad hai mere parsa tumhein yaad ho ki na yaad ho
kahin tum ko jaana hua agar na gae baghair 'nazir' ke
wo zamana apne 'nazir' ka tumhein yaad ho ki na yaad ho
Ghazal
Hue mujhse jis ghaDi tum juda tumhein yaad ho ki na yaad ho
Nazeer Banarasi