اردو हिंदी
Hue karwan se juda jo hum rah-e-ashiqi mein fana hue | Shaahi Shayari
hue karwan se juda jo hum rah-e-ashiqi mein fana hue

Ghazal

Hue karwan se juda jo hum rah-e-ashiqi mein fana hue

Qadr Bilgarami

;

hue karwan se juda jo hum rah-e-ashiqi mein fana hue
jo gire to naqsh-e-qadam bane jo uThe to bang-e-dara hue

kabhi dagh khate hi aah ki kahin aah karte hi ro diye
kabhi hum chaman ki hawa hue kabhi hum hawa ki ghaTa hue

jo hawa-e-dard bikhar gai nazar un ki saf badal gai
jo asir-e-halqa--naz the wo qatil-e-tegh-e-ada hue

hama-tan kabhi hue dard-o-gham hama-tan kabhi hue sabr hum
kabhi aap apna maraz hue kabhi aap apni dawa hue

hua baad-e-wasl ajab maza ki KHamosh baiThe juda juda
hama-tan main sabr-o-sukun hua hama-tan-o-sharm-o-haya hue

uThe hum jo KHwab-o-KHayal se lage takne dida-e-jal se
ki wo kab uThe wo kidhar gae abhi pas the abhi kya hue

ye qadam qadam pe jamenge panw ki baDh sakoge na aage tum
ho tumhaare kuche ki KHak mein kahin dafn ahl-e-wafa hue