hue karwan se juda jo hum rah-e-ashiqi mein fana hue
jo gire to naqsh-e-qadam bane jo uThe to bang-e-dara hue
jo hawa se zulf bikhar gai nazar un ki saf badal gai
jo asir-e-halqa-e-naz the wo qatil-e-tegh-e-ada hue
hua baad-e-wasl ajab maza ki KHamosh baiThe juda juda
hama-tan main sabr-o-sukun hua hama-tan wo sharm-o-haya hue
uThe hum jo KHwab-o-KHayal hai lage takne dida-e-haal se
ki wo kab uThe wo kidhar gae abhi pas the abhi kya hue
jo nigah hai chashm-e-siyah mein wahi barq-e-tur hai rah mein
teri aankh par jo fida hue wo shahid-e-rah-e-KHuda hue
bane 'qadr' aise ghubar hum hue gardishon mein wo KHar hum
ki misal-e-daera-e-falak jo uThe to be-sar-o-pa hue
Ghazal
Hue karwan se juda jo hum rah-e-ashiqi mein fana hue
Qadr Bilgarami