hue janab mein ab tak na tere hum gustaKH
KHuda ke waste hum se na ho sanam gustaKH
chhupaya raaz-e-mohabbat ko dil mein par haihat
kare hai nam mera bad ye chashm-e-nam gustaKH
jo aawe ji mein so kah le main hun wo ai pyare
rahun hazar huzuri mein par hun kam gustaKH
kaha gale se laga le tu iltifat nahin
kahe hai tis pe mujhe kyun tu dam-ba-dam gustaKH
yahi ummid hai 'chanda' ko KHub-ruyon mein
rakhe hamesha tera ya ali karam gustaKH
Ghazal
Hue janab mein ab tak na tere hum gustaKH
Mah Laqa Chanda