hue ishq mein imtihan kaise kaise
paDe marhale darmiyan kaise kaise
rahe dil mein wahm-o-guman kaise kaise
sara mein Tike karwan kaise kaise
ghar apna gham-o-dard samjhe hain dil ko
bane mezban mehman kaise kaise
shab-e-hijr baaten hain diwar-o-dar se
mile hain mujhe raaz-dan kaise kaise
dikhata hai din-raat aankhon ko meri
siyah-o-safed aasman kaise kaise
jo kabe se nikle jagah dair mein ki
mile un buton ko makan kaise kaise
farishte bhi ghayal hain tir-e-ada ke
nishana hue be-nishan kaise kaise
jo KHanjar ruka chaDh gai un ki tewri
wo bigDe dam-e-imtihan kaise kaise
idhar maut udhar wo dam-e-naza aae
ikaTTha hue mehrban kaise kaise
kabhi bijli taDpi kabhi aandhi aai
baDhe dushman-e-ashiyan kaise kaise
mere jurm mahshar mein karti hai ifsha
mere munh pe meri zaban kaise kaise
mohabbat ke hathon hue zulm kya kya
gae jaan se naujawan kaise kaise
nishan miT gae nam phir bhi hain baqi
jawan the tah-e-asman kaise kaise
karun yaad kis kis ko kis kis ko roun
'hafiz' uTh gae mehrban kaise kaise
Ghazal
Hue ishq mein imtihan kaise kaise
Hafeez Jaunpuri