hue ho kis liye barham azizam
sar-e-taslim hai lo KHam azizam
charagh-e-hujra-e-jaan ki KHabar lo
labon par aa gaya hai dam azizam
nahin bharta ye zaKHm-e-hijr apna
lagao wasl ka marham azizam
tum aate ho to dam aata hai goya
tum aate ho magar kam kam azizam
nabud-o-bud ki is kashmakash mein
ajab hai haalat-e-paiham azizam
tu hi tu hai main qatra tu samundar
ye man aanam ki man danam azizam
hami hain kushtagan-e-waqt-e-rafta
aziz-az-jaan hain ye gham azizam
wajud-e-rafta-e-raftar-e-manzil
sara-e-hasti-e-alim azizam
KHumar-e-tishna-kaami chashm-e-goyam
shunidan aks-e-jam-e-jam azizam
Ghazal
Hue ho kis liye barham azizam
Tasneem Abidi