اردو हिंदी
Hue hum jab se paida apne diwane hue hote | Shaahi Shayari
hue hum jab se paida apne diwane hue hote

Ghazal

Hue hum jab se paida apne diwane hue hote

Wali Uzlat

;

hue hum jab se paida apne diwane hue hote
KHuda ko hum pahunchte KHud se begane hue hote

maza raushan-dilli ka zindagani hai tajarrud se
hum apne misl shabnam aab aur dane hue hote

mue hum intizar-e-nashsha se KHoshon ke ja yarab
huwaida tak se pur-baada paimane hue hote

howenge KHak wusat mashrabi ki rah gai hasrat
hum awwal hi se misl-e-dasht virane hue hote

rahe duniya mein be-aish aur shuhud-e-haq se uqba mein
hue zuhhad kor ai kash ke kane hue hote

mai-e-irfan ka zarf aadam hi ko tha gar malak dete
to sat iblis ke sargarm yarane hue hote

abas tum munzawi masjid mein ho zuhhad kya hasil
wo sahab etakaf-e-kunj-e-maiKHane hue hote

hue maston pe gar tegh-e-zaban-zan shaiKH sheKHi mein
jo apne nafs-parwar hote mardane hue hote

agar sad-chaak ho hat us ke lagte aish tha 'uzlat'
dil-e-ushshaq sare kash ke shane hue hote