اردو हिंदी
Hue hain sard dimaghon ke dahke dahke alaw | Shaahi Shayari
hue hain sard dimaghon ke dahke dahke alaw

Ghazal

Hue hain sard dimaghon ke dahke dahke alaw

Farigh Bukhari

;

hue hain sard dimaghon ke dahke dahke alaw
nafas ki aanch se fikr-o-nazar ke dip jalao

kiran kiran ko siyah badliyon ne gher liya hai
tasawwuraat ke dhundle charagho rah dikhao

kahan hai gardish-e-dauran kidhar hai sail-e-hawadis
sukun-e-marg-e-musalsal mein Dubne lagi naw

kabhi KHizan ke bagule kabhi bahaar ke jhule
samajh sake na zamane ke ye utar chaDhao

ajib sa hai KHarabaat ke faqihon ka fatwa
bhaDakte shoalon se tapte dilon ki pyas bujhao

hazar gardanen KHam hon bura nahin pe sitam hai
KHayal-o-fikr ki pasti nigah-o-dil ka jhukao