اردو हिंदी
Hue hain gum jis ki justuju mein usi ki hum justuju karenge | Shaahi Shayari
hue hain gum jis ki justuju mein usi ki hum justuju karenge

Ghazal

Hue hain gum jis ki justuju mein usi ki hum justuju karenge

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

;

hue hain gum jis ki justuju mein usi ki hum justuju karenge
rakkha hai mahrum jis ne hum ko usi ki hum aarzu karenge

gae wo din jab ki is chaman mein hawa-e-nashw-o-numa thi hum ko
KHizan ko dekha nahin hai hum ne ki KHwahish-e-rang-o-bu karenge

hikayat-e-arzu hai nazuk zaban kya KHak kah sakegi
lab-e-KHamosh-o-nigah-e-hasrat se dil ki hum guftugu karenge

jagah jo aankhon mein main ne di thi to un se thi chashm-e-raaz-dari
ye kya KHabar thi ki ashk mere mujhi ko be-abru karenge

abhi to gum-karda-rah KHud hain mai-e-mohabbat ki be-KHudi mein
agar kabhi aap mein hum aae to us ki bhi justuju karenge

us anjuman mein ki chashm-e-saqi kafil ho aish-e-zindagi ki
wo baada-KHwari mein KHam honge jo fikr-e-jam-o-subu karenge

tahaarat-e-zahiri se hasil na ho sakegi safa-e-baatin
baha ke hum KHun-e-tauba 'wahshat' usi se ek din wuzu karenge