hue aazim-e-mulk-e-adam jo 'hawas' to KHushi ye hui thi ki gham se chhuTe
par faragh alam se na wan bhi mila wan gham ye hua ki wo hum se chhuTe
kabhi dair mein the kisi but pe fida kabhi kabe mein karte ja ke dua
tere kuche mein baiThe to KHub hua ki kashakash-e-dair-o-haram se chhuTe
yahi kahti thi laili-e-parda-nashin ki firaq ki ab use tab nahin
milun us se main ta mera qais-e-hazin gham-e-hijr ke dard-o-alam se chhuTe
main hua bhi jo bismil-e-tegh-e-jafa wale baqi hai dil mein abhi ye wafa
ki yaqin hai lahu mera ja-e-hina jo lage to na pa-e-sanam se chhuTe
na ho basta-e-chin-e-kamand-o-rasan rahe bhagta hai wo ba-dasht-e-KHutan
teri chashm ho us pe jo saya-fagan kabhi pa-e-ghazal na ram se chhuTe
na kyun shaki hon baKHt-e-siyah se hum ki wo madin-e-shafqat-o-lutf-o-karam
kare nala-e-shauq jo hum ko raqam to syahi na nok-e-qalam se chhuTe
mujhe rah mein mile the wo bandhe kamar chale jate the bagh ko waqt-e-sahar
unhen lata pakaD mujhe kis ka tha Dar pa fareb ke qaul-o-qasam se chhuTe
hue KHauf se gosha-guzin asas gaya sina pilang-e-falak ka jhulas
shab-e-hijr mein yaro baghair-e-'hawas' mere nale jo sher ajam se chhuTe
Ghazal
Hue aazim-e-mulk-e-adam jo hawas to KHushi ye hui thi ki gham se chhuTe
Mirza Mohammad Taqi Hawas