hudud-e-qarya-e-wahm-o-guman mein koi nahin
mere alawa mere karwan mein koi nahin
charagh jalte hain kyun raat-bhar mere dil mein
bahut dinon se agar is makan mein koi nahin
hai meri fath-o-hazimat ka kyun asar us par
sharik agar mere sud-o-ziyan mein koi nahin
Thahar sake jo mere samne ghaDi-do-ghaDi
wo shahsawar saf-e-dushmanan mein koi nahin
bhaTak raha hun hujum-e-nujum mein tanha
ki mujh sa aur kisi kahkashan mein koi nahin
ajib ek masarrat se aashna hain wo
asir-e-gham tere aashuftagan mein koi nahin
mili ho jis ko wirasat mein umr-bhar 'sajid'
wo KHush-nasib kisi KHak-dan mein koi nahin
Ghazal
Hudud-e-qarya-e-wahm-o-guman mein koi nahin
Ghulam Husain Sajid