اردو हिंदी
Hudud-e-jaan mein had-e-na-rasa se aaya hun | Shaahi Shayari
hudud-e-jaan mein had-e-na-rasa se aaya hun

Ghazal

Hudud-e-jaan mein had-e-na-rasa se aaya hun

Khaavar Ejaz

;

hudud-e-jaan mein had-e-na-rasa se aaya hun
main apne aap mein la-intiha se aaya hun

chamak rahi hai jabin par safar ki dhul abhi
zamin ki dhund mein raushan faza se aaya hun

main kis ki aankh mein tabir ki tarah jagun
sunahra KHwab hun aur qartaba se aaya hun

meri hatheli pe raushan najat ka lamha
main aaj wadi-e-hamd-o-sana se aaya hun

mujhe sambhaal ke rakh shahr-e-be-lihaz ki main
kisi faqir-manash ki dua se aaya hun

zawal-e-ahd to shayad mujhe na pahchane
main ek hawala hun aur karbala se aaya hun