hudud-e-akl-o-sharb ka sawal hi nahin raha
dilon mein KHauf-e-rabb-e-zul-jalal hi nahin raha
maal-e-arz-e-haal ka malal hi nahin raha
wo bazm-e-ghair thi mujhe KHayal hi nahin raha
jabhi to baghban ki guftugu mein jhol dekhte
kabhi kisi tarah ka ehtimal hi nahin raha
ye waswase ki baat apne munh se mat nikaliye
koi sharik-e-haal-e-pur-malal hi nahin raha
jalal ko bhi waqt ne samo diya hai sher mein
ghazal ka matmah-e-nazar jamal hi nahin raha
tasalliyon ke zail mein dila rahe ho yaad kyun
tabahiyon ka jab mujhe KHayal hi nahin raha
mere bayan-e-haal-e-dard-e-dil mein chaara-kar ne
wo rang bhar diya ki mera haal hi nahin raha
jahan shabab-o-shaghl-e-mai ne kho diye the hosh tak
main bin-piye uTha to kuchh kamal hi nahin raha
KHuda-e-kar-saz ke karam se 'shad'-arfi
kabhi mujhe saliqa-e-sawal hi nahin raha
Ghazal
Hudud-e-akl-o-sharb ka sawal hi nahin raha
Shaad Aarfi